Lambay safar ki oat mein pal bar nahin ruka
Mein waqt k fareeb mein aa kar nahin ruka_________!!Phir aa gaya aik naya sal dosto_______
Is bar bi kisi say December nahin ruka_____________!!Lay kar kisi nay haath mein kashkol-e-waqt
Aisa safar kia k kahin per nahin ruka______________!!Manzar kay aks mein koi chera chatakh gaya
Sheshay kay pas aa kay jo pathar nahin ruka________!!

Chalta raha adoo ki safain rondta howa_____
Lakhon ka khoun-e-jigar kar k b lashkar nahin ruka___!!

Bas yeh howa k Akhri lamha bi aa gaya
Dil ka tawaf koocha-e-dilbar nahin ruka____________!!

 

Regards By.

Ch Mohammad Shehbaz.

Mob#   +92-300-610-1100
_______________________________

Advertisements